Swagat Hai Apka Apne Knowledgable Blog Powerfullidea.com me. aaj ke is topic me hum baat krenge On Page SEO Kya Hai aur hum apne post ka on page seo kaise karen.
yeh smsya aksar naye blogger ke sath aati hi kyonki agar hum post ka on page seo nahi karenge to humari post rank nahi hogi chaliye is post me aaj iske baare me bahut saari jankari le lete hain jo kafi achhi trh se on page seo ko karne me madad karegi.
On Page SEO Kya Hai
Table of Contents
Ab baat karte hain on page seo kya hai kyonki aaj ke samya me har koi blog bnaa to leta hain prntu vo ispe achhe se kaam nahi kar paata aur isko chhod deta hain vo isliye usko on page seo off page seo krna nahi aata on page seo se hum apni post ki ranking ko aage kar sakte hain.
jisse humari post jldi se rank hoti hain iske liye do plugin aate hain pehla rank math seo dusra yoast seo in dono ki madad se aap aasani se on page seo kar sakte hain.
Blog Post Ka On Page SEO Kaise Karen
SEO friendly permalink
permalink ko achhi tarah se sochakar chota rakhana hai. Keywords add karane hai permalink me. Permalink me 1 keyword dobara nahi aana chahiye…On Page Seo Kya Hai Permalink me jyada keyword’s add karane se Google hamari site ko block kar sakata hai. Permalink ko 4-5 words tak ka lamba hona chahiye… Isase jyada nahi. Only targeted keywords hi use karane hai.
Tittle ke starting me keywords
hamare blog ka Jo tittle hai usme hame sab se pahale keyword ise karana hai na ki baadame ya bich me… Ye post ka main keyword hona chahiye
Multimedia add karani hai
images add karani hai post me Image ki size ko optimize karake small banana hai jisase loading time optimize ho sake.Image me caption add karana hai.
keywords ko starting ke 100 words me hi use karana
hamare post ke Jo main keywords hai unhe hamare post ke 100 words ke pahale hi use karana hai…
Isase Google ko ye samazane me aasani hoti hai ki post me aakhir kya hai.
Loading speed kam karana
ham apane posts me Jo images lagate hai unki size kam karake Aur blog ke extra widget remove karake…
Tittle me modifires add karana
Hamare post ke tittle me guide, details, review, helpful, best Aise shabd use karane hai voh bhi sahi jagah par…
Social sharing button add karana
hamare blog ka content visitors ko share karane ke liye kahana hai Aur usake liye hame sharing buttons add karane honge…
Content ko bada karana
Hamari post search me aane ke liye kam se kam 800 words tak ki post likhana. Agar nahi hai toh use badhana.Falatu ka content remove karana…
Internal links add karana
Hamari posts se related hi dusare post ki links add karana… Na ki koi bhi link add karake usaki khichadi bana dena… Masala mar ke.
Kam se kam 3-4 links add karana .. Jisase ki bounce rate kam ho sake…
keywords ke liye H2 and H3 tag use karana
Keywords ko ye shading dena jisase ki post jyada search me aaye…
Image ko ALT tag se optimize karana
Image search me aane ke liye usame Alt tag add karana.. Vaha par keyword ka use karana Har images me alag alag keyword use karana na ki same…
Post description
blog ki settings me jakar pahale post description enable karana. Usake baad sab post me kya hai usaki summary likhana..
Final Word
Isi umeed ke sath apse vida lete hain ki apko yeh On Page SEO Kya Hai – Blog Post Ka On Page SEO Kaise Karen post achhi lagi hogi kyonki maine apko isme har ek tips bta diya hain agar apko achha lga hain to Instagram page ka link diya hain aap usko jarur follow karen wahan apko bahut jaankari mil jaati hain.
- Top 7 Important WordPress Plugin
- Google Webmaster Kya Hai
- Sitemap Kya Hai
- Meta Tag Description Kya Hai
agar aap humari post me diye huye instruction ko follow karte hain ya fir humara support karna chahte hain to humare sath Juden. agar apko isme koi problem lagti hain to comment krke hume suchit karen hum isme corection kar denge.