Hello dosto aaj ke is article me ham baat karenge Fiverr kya hai and how to make money on fiverr .
Kya aap online 20,000-25000 hazar rupye mahine ke kamana chahte hai Short and simple language me fiverr ko define karu toh.
fiverr.com ek aaisa jagah hai jaha frelancers kaam kar sakte hai aur ghar baite he ache paise kama sakte hai.
Fiverr.com ko launch february 2010 me kiya gaya tha iske founder hai shai wininger and micha kaufman and fiverr ka headquater hai Israel ke Tel aviv me.
Fiverr ke launch hone ke baad se aaj tak apne customers ko achi service dene ke liye he famous hai.
Fiverr me aap khud kaam kar bhe sakte hai ya aagar aapko kisi kaam ke kisi professional person se help chahiye toh aap apna kaam fiverr se karna bhe sakte hai.
Fiverr me service lene ya dene ki starting cost 5$ se hai aur ye 500$ tak ja sakta hai.
Fiverr kya hai – Fiverr par Account kaise banaye
Table of Contents
Fiverr.com se paise kamane ke liye sab se pahle aapko fiverr par registration lena padega.
Fiverr me Signup karne ke liye sab se pahle fiverr.com me jana hai signup par click karna hai , aap aasani se signup apne Email ke through kar skate hai.
Fiverr me sign up karne ke baad aapko apna fiverr profile set karna hai. Fiverr profile set karne ke liye aap jab login karenge toh aapko apne window ke right corner me start selling, community, Messages, buying And aapke profile ka logo ka option milega.
Aapko bas apne profile par click karna hai and aapko waha dashboard ka option milega aap Dash board se through apne pure fiverr profile ke setting ko change kar sakte hai.
Fiverr Account Me Kya Kya Daalen
Discription
Discription me aapko apne bare me likhna hai jisme aap apne aap ko fiverr se customer se samne present kar rahe honge.
Customer bhe unko he order deti hai jinka profile acha dikta ho always remember first impression and last impression.
Ache discription se aapko jada orders mil sakte hai.
Skills education and certificate
Is option me aapko Aapne skills like aap kisme expert hai education, aap kaha tak padhe likhe hai ya presently aap koi professional cource kar rahe hai.
certificate aapke pas apne requested gigs ya kisi aur cheez se related koi certificate hai ya nahi and aagar hai toh apne profile me uski copy attach kar sakte hai jisse logo ko aapne professional hone ke bare me pata chal jayenga .
Profile Picture
Profile picture Me hamesha kosis kare ki aap apne ki picture isme upload kare kyuki profile picture se aapke and buyer ke beech and trust create hota hai jisse eventually aapko he fyda hoga.
Aur is tarah se aap aasani se fiverr.com par apna account bana sakte hai aur paise kamana shuru kar sakte hai.
Chaliye Aab Is article ko aage badhate huye Fiverr ke bare me kuch aur baate jante hai.
Fiverr se paise kaise kamaye
Fiverr se aasani se aap mahine ke 15-20 k tak kama sakte hai, maan lejiye aap ek din me 10 gigs complete kar rahe hai
jisme aapko 4$ milenge means aagar ham is paise ko indian rupees me convert kare toh 670 rupees hote hai and that means month ke aapko 20100 rupee mil jayenge.
(NOTE – Fiverr aapko sirf 4 dollar dega aur vo 1 $ apne service ke charge karega )
Fiverr se paise kamane ke liye aapko Apne gigs create karna hoga , gigs basically service hote hai.
jo aap apne customers ko provide karte hai. To create a GIG , just follow the instruction below –
1 . Apne first GIG ko create karne ke liye pahle aap START SELLING ke option par click kare. START SELLING ka option aapko Fiverr me log in karne ke baad right corner me milega .
2 . Start selling ke option par click karne ke baad aapke samne new page open hoga jisme aapke apna GIG create karna hoga , Pricing set karna hoga
Gig se related kuch aur information complete karna padega. Niche diye gaye picture se aap samaj jayenge ki aapko kis page par sara information fill karna hai.
Note – GIG Title , Category , Search tags ko properly fill kare , and is tarah se aap Apne fiverr account par GIG create kar ke Apne customers ko service provide kar sakte hai.
GIGs create karne ke baad fiverr me aapko service ke liye order milne start ho jayenge aur jaise he aap order complete kar dete hai aapko 4$ mil jayega.
Aap chahye toh service fees bada bhe sakte hai lakin aapko service bhe quality bhe high rakhni hogi. Aur IS tarah se aap aasani se Fiverr.com se paise kama sakte hai.
Sites like Fiverr / Fiverr alternatives
Is duniya me Aur bhe bahut se fiverr ke jaise sites hai jo frelancer ko work provide karte hai.
Maine apne 3 favorite ko yaha mention kiya hai aap agar chahye toh aap in sites ko bhe check kar sakte hai. Fiverr.com freelance ko work provide karne wali sab se purani and trustful site hai
lakin kuch log isse pasand nahi karte kyuki iski starting service fees sirf 5$ dollar hai aur isme freelancer ke beech competation bhe jada hai.
Freelancer.com
Freelance ko maine is list ke pahle position par rakha mai kyuki maine bhe isme 6 month kaam kiya hai aur iski service mujay bahut jada pasand aayai hai.
Fiverr ke baad mai aapko sab se pahle yahi site recemmond karunga. Freelancer .com ka headquatered sydney Australia me hai , freelancer me aapko 14 million se jada registered users milenge vo alag alag field me expert hai
so aagar aap freelancer se apna koi kaam karna chahte hai toh aapko easily different service provide karne wale freelancers mil jayenge.
Freelancer se earn karne ke liye pahle sign up kare and page ke upar aapko WORK ka option milega , aapko bas us option par click karna hai and apne work ki requirement fill karni hai aapko uske base par project mil jayenge.
Freelancer me signup karne ke liye Is link ko follow kare – www.freelancer.in
iwriter
Is list ke second position pe maine iwriter ke isliye rakha hai kyuki aagar aapki writing skills achi hai toh aap aasani se pahle din se iwriter se paise pkama skate hai.
Website ke naam se aapko aandaza ho he gaya hoga ki ye site freelance writers ke liye hai.
Iwriter ke freelancer ki tarah work karne ke liye aapke achi english aani chahiye aur aapki writing skills achi honi chahiye.
iwriter se apne payment ko aap aasani se paypal ke through withdraw kar sakte hai. iwriter me article likhne se pahle aapko ek test dena hoga jo ki basic english test hoga jaise he aap un english test ko pass karte hai aap client ke liye article likh sakte hai.
Mai iwriter ke upar vistar me ek article jarur likhunga jisse aapko iwriter me kaam karne me aur madad hogi. Aap iwriter me is link se signup kar sakte hai – www.iwriter.com .
Upwork
Is list ke third position me mai upwork ko rakhunga. Upwork bhe fiverr and freelancer ki tarah ek acha freelance market place website hai aur iska headquaters mountain view california me hai.
Upwork ko 2015 me banaya gaya tha aur iske chairman thomas layton hai.
Upwork se paise kamana bhe aasan hai, kafi logo ko online earning me froud ka tension rahta hai lakin upwork ek registered company hai toh iske froud ke chances bhe bilkul nahi hai.
Aap upwork me sign up karne ke liye is link ko follow kar sakte hai – www.upwork.com.
Best fiverr gigs
Best fiverr gigs , aapke iske topic heading se he aandaza ho gaya hoga ki is paragraph me ham baat karenge top 5 best fiverr gigs ke bare me jisse aap achi earning kar sakte hai.
1 . logo design
2 . WordPress site building
3 . Video Editing
4 . Voice over
5 . Writing blog article / post
These are the best five fiverr gigs , aagar aapme in pacho me se koi bhe talent hai toh aap aasani se fiverr se paise kama sakte hai.
Final Word
Isi umeed ke sath apse vida lete hain ki apko yeh Fiverr kya hai – Fiverr से ऑनलाइन घर बैठे 20 हजार रूपए कैसे कमायें post achhi lagi hogi kyonki maine apko isme har ek tips bta diya hain agar apko achha lga hain to Instagram page ka link diya hain aap usko jarur follow karen wahan apko bahut jaankari mil jaati hain.
- Top 7 Important WordPress Plugin
- Google Webmaster Kya Hai
- Sitemap Kya Hai
- Meta Tag Description Kya Hai
agar aap humari post me diye huye instruction ko follow karte hain ya fir humara support karna chahte hain to humare sath Instagram pe Juden. agar apko isme koi problem lagti hain to comment krke hume suchit karen hum isme corection kar denge.