Blog Ko Google Search Console Mein Kaise Submit Karen? – Present time mein bahut sare log blog chala rahe hain. Kisi bhi blog ko search engine mein submit karne se pahle a hamare dimag mein Google ka naam aata hai. Bahut sare log apna blog banane ke bad use Google Search Console mein submit nahi karte hain, jiske chalte unke dwara likhe gaye article Google search engine mein index nahi ho paate hain. Kisi bhi blog ko search engine mein index karane ke liye use Google Search Console mein submit karna jaruri hota hai. Is article mein ham aapko bataenge ki Blog Ko Google Search Console Mein Kaise Submit Karen?
Jab bhi kabhi sabse top and popular search engine ki baat ki jaati hai hai to sabse pehla naam Google ka aata hai. Google ke bad bing aur yahoo jaise search engine ka naam aata hai. Kisi bhi blog ko popular banane ke liye aur us per traffic laane ke liye Google search engine sabse achcha medium hota hai. Google ne website users ke liye article ya website ko index karane ke liye Google Search Console service banaya hai.
Yadi aap apne blog ko Google search engine mein index karana chahte hain to iske liye use Google Search Console mein submit karna jaruri hai. Jab aapka blog Google Search Console mein submit rahega to use blog per likhe gaye artical Google search engine mein index honge aur ise aapke blog per traffic aaega. Isiliye ab ham aapko bataenge ki blog ko Google Search Console mein submit kaise karen?
Blog Ko Google Search Console Mein Kaise Submit Karen ?
- Sabse pahle Google Search Console website open karen. Aap niche diye gaye link pr click kr skte hain: https://search.Google.Com/search-console/about
- Is link pr click krne ke baad aapko Google Search Console ke baare mein pata chalega.
- Iske baad Start button pr click kr den.
- Start button pr click krne ke baad apna gmail account login karen.
- Ab aapko welcome to Google Search Console likha hua dikhai dega. Iske theek niche Domain aur uske theek bagal mein Url Prefix likha hua dikhai dega. Aap usme se kisi pr click kr skte hain.
- Iske baad neeche apne blog website ka Domain name enter kare. Yadi aapne Url Prefix wale option pr click kiya hai to https:// ya http:// ke saath website ka poora address enter karen.
- Upar bataye gaye process ko complete krne ke baad Continue button pr click kr den.
- Iske baad Checking Verification likha hua dikhai dega
- Kuchh seconds ke baad aapke screen pr blog verify krne ke kai option aa jayenge.
- Isme se pahla option html meta tag wale option ko select kre. Ye bahut hi easy hota hai.
- Yaha pr aapko ek HTML code likha hua dikhai dega, ise copy kr len.
- Iske baad apne browser mein ek new tab open karen aur yaha pr apne blog website ke dashboard mein login karen.
- Ab us HTML code ko apne blog ke head section mein paste krke save kr de.
- Yadi aap blogger.Com use krte hain to usme Edit Html option mein head section mil jayega.
- Iske alawa yadi aap wordpress use krte hain to Edit Theme option ke header.php option mein head section mil jaayega.
- Is process ko complete krne ke baad wapas search console mein aaye aur Verify button pr click karen.
- Ab aapka verification successful ho jayega. Iske baad aap apne blog pr jo bhi article likhenge wo jald se jald search engine mein rank hoga.
Conclusion
Doston humne aapko is artical ke madhyam se Blog Ko Google Search Console Mein Kaise Submit Karen? Ke bare mein jankari Di Hai. Agar aap ek blogger Hain aur aap blogging karte Hain To aap apne blog ya website ko Google search console mein submit jarur Karen jisse ki aap apne blog ya website per adhik se adhik traffic la sake.