Dosto Swagat Hai aaj ke ek aur fresh article me. aaj mai aapko blog ke kuch basic chijo ke bare me jankri duga jisse aap apne Backlink Kya Hai. Blog SEO Ke Liye Backlinks Jaruri Kyu Hai? ko kam kar sakte hai.
Blog SEO ke liye Backlinks ki importance bahut hi hoti hai, Backlinks search engine optimization me bahut kaam aata hai aur Isi se hi blog ki ranking Increase hoti hai, Blog ki ranking increase karne ke liye backlinks ki jarurat padti hai.
Agar aapke blog me do follow backlinks available hoti hai to isse blog ka SEO achaa hota hai, Ish post me mai aapko Backlinks kya aur ye SEO ke liye kyu jaruri hai uske bare batauga, sabhi proffesional blogger’s apne site or blog ke liye High Quality backlink banate hai aur ise banane ke liye wo Log har ek raaste ko sahi tarike se follow karte hai.
Backlink ko samjhna koi muskil kaam nahi hai agar aap ish post carefully read kar le to ye aapko easily samjh aa jayegi isliye aap se request hai ki aap ish post ko carefully read kariye aur puri jankari ke bina iska use mat kariye.
Ek succesfull Blogger banne ke liye aapke sabhi article ka SEO friendly hona bahut hi jaruri hai, bina SEO optimization aap blogging me succesfull nahi ho sakte, Blog seo ke liye high quality backlink ka milna bahut hi jaruri hota hai aur ye aap tab hi paa sakte jab aapko iski puri samjh ho jati hai.
Kuch newbies addhi jankari prapt kar galat tarike ka istemal karke Link Building suru karte hai isse unhe suru suru me fayda to milta hai lekin phir baad me unke blog ki ranking decrease hone lagti hai, Link Building blog ke liye achhi hoti hai par agar aap topic se unrealted, spam, blocked, Free Backlink site se apne blog ke liye backlinks create karte hai.
ye aapke blog ke liye achaa nahi hota hai isse suru suru apko benifit milta hai lekin future me iska aapke blog par bahut bura asar padta hai isliye aapko galat tarike se backlink banani nahi chahiye.
High Quality backlink banane ke ka ek sabse achaa way High Quality Blogs me comment karna hota hai, Aksar proffesional blogger jinki ranking achhi hoti hai aur search engine me impression achaa hota hai wo sab do follow backlinks provide karti hai.
jiska matlab ye hua ki agar aap unke blog me comment karte hai to unki taraf se aapko backlink provide kiya jata hai, Free me apne site ke liye backlink create karne ka ye sabse achaa raasta hai.
Backlink aap apne site me dusre ka link add karke bhi bana sakte hai par dhyan rahe jis site ki link aap apne site me add kiye hai uska impression search engine me badiya hona chaiye nahi to uska bura asar bhi aapke blog pad sakta hai.
Backlink Kya Hai – Dofollow Backlink Kaise Banayen
Table of Contents
Jab aapke site ka Link kisi dusre site me add kiya hota hai aur visitor us Link par click karke aapke site me redirect hote hai tab aapko us dusre site se backlink milta hai.
Matlab agar visitor aapke site me dusre website ke through aata hai tab use backlinks kahte hai, Ise samjhne ke liye ek example – maan lijiye aapne mere site me ek comment kiya aur usme aapne apne site ka Link (URL) chod diya.
jab koi visitor aapke Link (URL) me click karke aapke site me jayega tab use backlink milna aap kah sakte hai.
Backlinks Kitne Type Ke Hote Hai?
Generally agar aap kisi se puchoge to wo kahege ki backlinks 2 type ke hote hai ek Do follow aur dusra No follow par asal me ye 8 tarah ke hote hai aur unme se sirf 2 hi aapke kaam ke hote hai waise kaam ke to sabhi hote hai par sabse jyada use Do follow aur No follow ka hi kiya jata hai.
- Do Follow – Ye wo links hoti hai jisse aasani Link juice pass hota hai, Ye links aapke blog ki ranking increase karne me helpfull hoti hai, waise sabhi Links Do follow hi hoti hai par agar chahte hai ki jis link ko aap apne site me add kiye usse Link Juice pass na ho to uske Link me aap No follow attribution add kar sakte hai.
- No Follow – Ye wo links hoti hai jinse Link juice pass nahi hota hai, iska use aap tab hi karte hai jab aapko apne blog ko rank nahi karna hota hai, Ish link ka use apko tab karna chahiye jab aap apne site me koi SPAM link add karne wale hai.
- Anchor Text – Ye wo link hote hai jab aap apne hi kisi post me apne hi kisi dusre post ka Link add kar rakhte hai use hi anchor text kahte hai.
- Link Juice – Home page me jo Links add hoti hai ya jis Link ko aap apne site ke Homepage me add karte hai use hi Link Juice kaha jata hai.
- Low Quality Links – Jab visitor aapke site par kisi SPAM, Trash, Low ranking site se aata hai to use Low Quality Links kahte hai.
- High Quality Links – Jab visitor aapke site par kisi High Ranking site ke through aata hai tab use High Quality Links kahte hai.
- Internal Links – Apne hi kisi post me aap apne hi kisi dusre post ka Link add karte hai to use Internal Link kahte hai.
- External Links – Jab aap apne kisi post me dusre site ki Link ko add karte hai to use External Link kahte hai.
Blog SEO Ke Liye Backlinks Jaruri Kyu Hai?
Blog seo ke liye backlinks bahut hi jaruri hota hai, Blog ki ranking increase karne ke liye aapko High Quality backlinks ki jarurat padti hai, Backlinks se hi aapke site ki traffic increase hoti hai.
aapke blog me jitna jyada backlink hoga utna hi jyada aapko traffic milega, Search engine se traffic increase karne ke liye bhi apko backlink ki jarurat padti hai.
agar aapko sabhi taraf se achaa high quality backlink milega to seaech me bhi aapke site ka impression banta rahega aur post 1st page par show hone lagegi.
Quality Backlinks Kaise Banaye?
Backlinks ke bare to ab aap jaan hi chuke hoge aur apko ye bhi pata chal gaya hoga ki ye aapke Blog aur SEO ke liye kitna jaruri hota hai.
Ab aapke man me ye sawal uth raha hoga kaise apne site ke liye quality backlinks banaye? chaliye ab jante hai ki kaise apne site ke liye quality backlink banate hai.
Submit Site In Web Directories
Quality backlink banane ke liye web directories ek badiya aur free raasta hai, isme aap apne site ko submit karke free me backlink prapt kar sakte hai, apne site ke ranking ke liye jitna ho sake aapko backlink banani chaiye.
Iske liye apko apne site ko jitna ho sake web directories me submit karna chahiye, Jitna jyada aap apne site ko web directories me submit karege utna hi jyada aapki traffic bhi increase hogi, Internet me kam se kam 150 web directories hai aap sabhi me apne site ko submit kariye.
Guest Post
Guest post bhi backlink create karna ka ek free way hai, Apne topic se related jitne bhi blogs hai internet me search kariye aur ek fresh content kam se kam 1000 word ka article un sites me publish kariye.
aise blogs ko target kariye jinki popularity jyada ho aur jinme har roj jyada se jyada traffic aati ho, Kam se kam har din ek Blog me guest post jarur kariye agar aap 30 day lagatar aise websites me guest post karte rahe to aapko bahut achaa backlink milega aur traffic bhi increase hogi.
Comment
Blog ke liye backlink create karne ka ye sabse easiest way hai, Isme aapko dusre Quality blogs me comment karne hote hai agar aap regualrly apne hi niche (topic) wale blogs me comment karte hai to usse aapka blog rank badhega.
Backlink bhi achhi milegi par dhyan rahe aise hi websites or blog me comment kare jo aapke blog se revelent ho agar aap apne se alag kisi dusre topic wale blogs par regualrly comment karege.
usse aapka rank badhne ki jagah ghat jayega isliye iska aapko dhayan rakhna hai, Kisi kisi website me comment Luv active kiya rahta hai aise website me comment karna achaa hota hai.
Write Quality Content
Apne blog ke liye jyada se jyada backlinks banane ke liye apne post ko SEO friendly likh kariye agar aapka post Seo Optimazation hoga to usse aapko search me rank milegi aur traffic bhi increase hogi.
Iske apne fayde hote hai agar aap regualrly 1 post optimize karke likhte hai to isse apke blog ko bahut benifit milega aur aapka blog always 1st Rank 1St Page par show hoga, post ka seo karne ke alawa aapko readers ka bhi dhyan rakhna hoga aise post likhiye jsise readers ko aapki bate aasani se samajh aa sake.
Backlinks Banate Waqt Kin Chijo Ka Dhyan Rakhna Chaiye?
Backlink ke apne kuch fayde bhi aur nuksaan bhi, Upar aapne iske fayde kebare to jaan liya chaliye mai ab iske nuksaan ke bare batata hu aur saath ye bhi batauga ki apne site ke liye backlink create kate waqt apko kya kya chij ignore karna chaiye.
Galat tarike se backlink banane par apke site ko rank nahi kara jayega aur pahle jitni bhi ranking aapke site ki ho chuki hogi sabko Deacrese kar diya jayega, spam site ka link apne blog par use karne se aapko search se Banned kar diya jayega aur aap jo bhi new post publish karege.
wo sab search me show nahi karegi, Niche mai kuch bate batane ja raha jise aapko backlink banate waqt ignore karna hai.
- Site ke liye kisi dusre Quality site se hi backlink banaye, Low quality site se bilkul hi na banaye.
- Kabhi bhi paid backlink apne site ke liye Buy nahi kare.
- Backlinks jyada banane se achaa hai kuch quality backlinks ka hi use kare.
- Ek din me Limited hi sites se backlink banaye, Jyada banane se Google ko saq ho sakta hai.
- Per Day Limited Comment hi kariye dusro ke site par.
- Porn, Hacking, Spam, Low quality site se backlink bikul hi nahi banaye.
Final Word
Toh Ummid hai dosto aapko hamari ye post samjh aa chuki hogi aur aap ye bhi jaan chuke hoge ki Backlink Kya Hai. Blog SEO Ke Liye Backlinks Jaruri Kyu Hai? agar aapko ish post se related kuch sawal puchna hai.
- youtube BHM logo kya hai
- Reduce Website Loading Time
- Sandesh App Kya Hai
- Catchy Blog Post Tittle
- SP FULL FORM IN HINDI
- NOC Full Form In Hindi
- Google mera name kya hai
wo aap hame comment kar sakte hai aur ish post ko jitna ho sakte apne dosto ke saath jarur share kariye, Post pasand aaye to apna openion jarur dijiye.